yahin se guzra tha karwan-e-shisha-garan tum ko ma'lum hai pa-shikasta rahi daraaz unton pe phutti shu’a’en sabz lal nili ru-pahli aage daraaz-qad shishagar sarban tamkanat se mahaar thame wo karwan to manzil se ja mila hai sarban mahmil pe jalwa-afroz hain daraaz unton pe un ke daraaz-qad ab daraaz-tar hain mata'-e-shisha-gari chur-chur bikhri hai rahon mein reza-reza hawa mein tahlil ho gai hai udas rahi tum jo pa-barahna nikle the dharti ke lams ki aarzu mein chanchal hawa ki aaghosh mein zindagi ki asas pane dekho tumhaare qadam lahuluhan hain hawa ke bose tumhaare tishna-labon ko majruh kar rahe hain wo kaun hain kya tumhaare sathi hain wo jinhon ne us shahrah se zara hat kar rangin plastic ke kheme laga liye hain wo kaun hain jo plastic ke dabiz malbus mein plastic ki naqaben jute is dhaj se zakhmi zamin ke sine par gamzan hain shikasta rahi jo ho sake to pagal hawa se puchho siyah jhadiyon mein kitne figar jism wo sab jo nikle the dharti ke lams ki aarzu mein jo ho sake to zakhmi hawa ke sine pe ab ya figar dharti pe apne lahu se tum apna nam likh do siyah jhadiyan ab bhi muntazir hain