jab ammi abbu chhote the kya hum jaise hi hote the din raat shararat karte the apne abbu se darte the jab zid karna hoti thi unhen apni ammi se karte the kya adab badon ka karte the jo kahte the wo karte the padhne mushkil se jate the kya rote-dhote aate the munh hath wo dho kar khate the ya bin dhoe so jate the wo sham ko der se uthte the kya kaam school ka karte the kuchh padhte the kuchh ladte the aansu se munh wo dhote the kya wo bhi apni dadi se har raat kahani sunte the kya wo bhi apne dada se wo baaten purani sunte the wo pyare nabiyon ke qisse malum nahin bhi hote the wo sari duaen un ko bhi kya yaad zabani hoti thin kya apni namazon ki pabandi wo hum jaisi hi karte the jab ammi abbu chhote the kya hum jaise hi hote the