mera bachpan bhi khub bachpan tha meri duniya bhi khubsurat thi dil mein dahshat thi koi aur na khauf doston mein badi mohabbat thi dekhte dekhte jawan hua aur duniya badal gai meri pyar ke jis pe phul khilte the wo hasin shakh jal gai meri aaj aalam na puchhiye mujh se har taraf ek khauf tari hai pyar ka gulsitan tha jo bhaarat us mein nafrat ki jang jari hai eid hoti to hai baroz-e-eid eid ki si khushi nahin hoti dip jalte to hain diwali ke pyar ki raushni nahin hoti phir unhin saaton ko lauta de ai khuda-wand ai mere mabud phir ye hangama ai khuda kya hai jab ki tujh bin nahin koi maujud