kash aise mein kahin duniya ko aa jae nazar shair-e-husn-o-mohabbat amn ka paighambar shanti ka ek naya sandesh de sansar ko apne jadu se daba de khun ke manjdhaar ko bansuri ki lai se phir nabzon mein dauda de lahu husn ko de phir tajalli ishq ko phir aarzu ud na jae bagh ke masle hue phulon ka rang dal de sine mein un ke apne naghmon se umang ho na jae rakh jal kar ye dayar-e-khar-o-khas dal de bijli se le kar us ke sine mein nafas kal ka ye jaga hua phir ho na jae mahw-e-khwab le ke tufanon se us ko bakhsh de ek iztirab chalti phirti mayyaton ko zindagani bakhsh de zindagani kya hayat-e-jawedani bakhsh de dahr hai bechain us ke git sunne ke liye zulmaton mein nur ki kirnon ko chunne ke liye