khar-o-khas ke jhonpade mitti ke bosida makan jaise andhon ke ishaare jaise gungon ki zaban jis tarah utre hue chehron pe aansu ke nishan jis tarah sukhi hui tahni pe ujde aashiyan dagh jin ke saz-o-saman dard jin ka pasban kya isi duniya mein tu palta hai ai hindostan ek dhancha haddiyon ka ek chalti-phirti lash jis ko qabristan mein hai zindagani ki talash jis ke dil ki dhadkanon mein gham ke phanson ki kharash be-kasi jis ka sahaara muflisi jis ki maash dast-o-bazu jis ke shal jis ka safina pash pash kya isi ko palti hai madar-e-hindostan dhup se jhulse hue bachche pe faqon ke sitam jis ki nannhi si zaban sukhi hui aur aankh nam jaise kachchi nind se nazuk papoton par waram jaise mina-e-tahi ke dil mein fikr-e-besh-o-kam jaise be-ras phul jaise band mutthi ka bharam kya isi ko palti hai madar-e-hindostan is jafa-parwarda ummat ke jafa-parwar imam qasr-o-aiwan ke pujari zar ke bande-o-ghulam khun-e-dahqan se hai rangin jin ki azmat ka maqam jin ke mazhab mein sadaqat aur hamdardi haram kya unhin ke hath mein hai teri qismat ki lagam sharm ai hindostan afsos ai hindostan ek arman-e-masarrat ek arman-e-qarar jaise be-payan samundar ke kinare ju-e-bar jaise registan mein bhatki hui mauj-e-bahaar jaise wahmon ki parastish jaise sayon ka shikar arz par jaise farishte shahr mein jaise ganwar kya yahi hai iztirab-e-arzu hindostan ek aah-e-na-rasa begana-e-zauq-e-sukhan jaise pahli sham ko mahtab ki maddham kiran jaise ek andhi kunwari ka adhura bankpan jaise murjhai hui kaliyon mein rudad-e-chaman jaise ek soe hue kafir ki abru mein shikan kya yahi hai quwwat-e-fariyaad ai hindostan ek sisakta sans ek tuta hua tar-e-rabab jaise gahri fikr mein pichhle pahar ka mahtab jaise basi phul ki bu jaise patjhad ka gulab jaise din mein chand tare jaise dariya mein habab jaise diwane ki jannat jaise muflis ka shabab kya isi ko zindagi kahte hain ai hindostan maut ki parchhaiyon mein palne wali zindagi aankhon se bin timtima kar jaane wali zindagi zulmaton mein apni aankhen milne wali zindagi tham kar laghzish ka daman chalne wali zindagi gham ke sanche mein musalsal dhalne wali zindagi kya isi ko zindagi kahte hain ai hindostan qismaton ke daere mein ghumne wala samaj dasne wali ek nagin ek zahrila mizaj nang-e-hasti sar pe ek auham ki pasti ka taj muflison se jo liya karti hai gin gin kar khiraj dafn ho jata hai jis ke hath se har roz aaj kya isi ke hath mein hai parcham-e-hindostan aansuon ke nam se kab tak giraya jaega nala-o-fariyaad mein kab tak sunaya jaega ek gahri nind mein kab tak sulaya jaega parda-e-taqdir mein kab tak chhupaya jaega tu sataya ja chuka kab tak sataya jaega jag ai hindostan han jag ai hindostan