amn ka tehwar

kal jo sapne the adhure aaj pure honge wo
aaj hum jamhuriyat ka git gaenge zarur

amn ki shamen jalin har su ujala ho gaya
mit gae hain zulm ki tarikiyon ke sab ghurur

kah do sari zulmaton se talkhiyon se hon wo dur
kyon ki arzan ho gai hai dahr mein sahba-e-nur

aaj phir tarikiyon ke mit hi jaenge nishan
dip khushiyon ke jalenge basti-e-gham-khwar mein

khud-bakhud manzil khinchi aaegi qadmon ke tale
azm-e-nau ki khu bhi shamil hogi jab atwar mein

muttahid hai kitna bhaarat dahr ko batlaenge
azmat-e-jamhuriyat duniya ko hum dikhlaenge

ek hi diwar ke sae mein hain dair-o-haram
han wahi bhaarat hai ye jo amn ki taswir hai

gautam-o-gandhi jawahar-lal aur aazad ne
dekha tha jo khwab pahron us ki ye tabir hai

kah do duniya se hasin kirdar bhi ab sikh le
aae hum se amn ke atwar bhi ab sikh le

aaj wo din hai ki jis din ke liye the khun bahe
chandr-shekhar aur bhagat-singh aur phir gandhi ke khun

aur han jauhar ali mukhtar-o-sayyad the wahi
tha sada jin ke dilon se sar katane ka junun

desh ki khatir hua jin ka janam aur maut bhi
maut jin ki maut pe roti rahi roti rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close