lafz masna se ye jo miyan hai bani do ke mani ko zahir kare masnawi khub arabi mein aur farsi mein chali aa ke urdu mein bhi khub phuli-phali mauzun pai gai dastan ke liye ye munasib hai nazm-e-rawan ke liye sidhi sadi hai jo masnawi ki zaban hai 'hasan' mir ki khub sehrul-bayan is mein tahzib ka aks dekho miyan milta hai ja-ba-ja ek samaji bayan shaikh 'rumi' jo guzre hain ek maulwi un ki duniya mein mashhur hai masnawi masnawi ke bhi makhsus auzan hain jo ghazal ki tarah bachcho aasan hain 'hafiz' is ki faza ko banate raho bachchon ko masnawi tum padhate raho