use hum dhundne to nikle hain magar pahchanenge kaise jang-e-badr-o-uhad se waqia-e-karbala tak hiroshima nagasaki filistin-o-iraq tak safed kabutaron ke jhund mein zaitun ki shakhon mein alam-e-abyaz mein kahin to hai wo zaiqa-dar khanon mein aalishan aiwanon mein phulon ke daston mein kaghaz ke baston mein qalam ki raushnai mein lafzon ki tanhai mein kahin bhatak raha hai wo naslon ke jhagde zabanon ke qaziye rangon ke khel sarhad ke feal us ke aade aa rahe hain ab se duniya ki har hasin shai ko jis ka hum nam nahin jaante rokenge aur puchhenge tumhaara nam amn to nahin