aankhen us ki khwab dil kahta hai dekhe jaun raushan wo mahtab chhodo ye aanchal aisa na ho phail hi jae aankhon mein kajal ye furqat ye duri kabhi to milne aa sakte ho aisi kya majburi itna rakhna yaad koi mohabbat de nahin sakta tum ko mere baad tanhai ki sham chahun bhi to kar nahin sakti sajan tere nam sardi ka mausam is par dil mein aag lagae furqat ka aalam pad gaya har koi mand jab banhon mein le kar mujh ko jhil mein utra chand ye lo mera hath aur apni chahat se likh do is par dil ki baat mahke ye gajre kitne achchhe lagte hain na chahat ke tohfe is basti ke log apne sath laga baithe hain jaane kis ka rog