amrud aur mulla ji

kisi qasbe mein ek tha amrud
bison mein wo nek tha amrud

padhne jata tha wo namaz wahan
aadmi ek nazar na aae jahan

khauf us ko hamesha rahta tha
aadmi koi mujh ko kha lega

shauq bola ki ek din jao
kisi masjid mein ja namaz padho

chhoti si masjid ek qarib hi thi
the wahan dat ke baithe mulla ji

chupke chupke khuda ki le kar aas
chal ke ja baitha jutiyon ke pas

junhi sajde mein us ne rakha sar
aae mulla ji us taraf uth kar

aise mulla nadide hote hain
dekh ke khane hosh khote hain

halwa khate hain nan khate hain
jab mile kuchh na jaan khate hain

jhapte us par pakad liya amrud
chikha chillaya ro pada amrud

kaha amrud ne ki mulla ji
ho agar aaj meri jaan-bakhshi

phal khilaunga aap ko aisa
achchha mujh se hai zaiqa jis ka

phir kaha ye ki mere sath aaen
jis jagah main kahun thahar jaen

ek dukan ke qarib aa ke kaha
aaiye dekhiye hai kaisa maza

kela jaldi se ek utha lije
aur masjid mein chal ke kha lijiye

malik us ka wahan na tha maujud
mulla maujud tha khuda maujud

kela masjid ke pas le ke chale
chalte chalte wo aakhir aa pahunche

kaha amrud ne nikaliye aap
chhil kar kela us ko khaiye aap

lage masjid mein jaane jab kha kar
aa gaya un ka panw chhilke par

wae qismat ki aap aise gire
ek ghante se pahle uth na sake

mauqa pate hi chal diya amrud
de ke mulla ko jul gaya amrud

hirs ka khub hi maza paya
dudh un ko chhati ka yaad aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close