hare-bhare lahraate patton wala ped indar se kis darja boda kitna khokhla ho sakta hai mujh se puchho main ek aise hi chhitnar ke niche baitha us ki chhanw se apne safar ki dhup ka dukhda phul raha tha aane wale waqt ki thandi gili mitti rol raha tha apne aap se bol raha tha main bhi kitna khush-qismat hun jiwan ki sunsan dagar par mere kitne yar khade hain ped ki surat itne mein ek jhonka aaya ye jhonka chandi ki kan ke andar se ho kar aaya tha ek hi pal mein ped ki chhaal ne rangat badli ek hi pal mein har patte ki shakl hui matyali gadli shan shan karti shakhon mein ek zahrili sargoshi jagi chhanw chhat kar ped ke tan ki jaanib bhagi dil ye manzar dekh ke sahma kanpa roya chaaron aur se uthti ek anjaane dukh ki dhul mein khoya zahar sa ek rag rag mein samaya itne mein ek aur jhumta jhonka aaya ye jhonka khud-gharzi ke kohsar pe mandla kar aaya tha bas itna hi yaad hai mujh ko kaise aur kab ped gira ye ped se puchho mujhe nikalo us bude aur khokhle ped ke niche dab kar mere sath mera ehsas bhi mar jaega jo bhi ye manzar dekhega dar jaega dekhne walon ko is khauf se is sadme is gham se bacha lo mujhe nikalo aainda main chhitnar ko apna yar nahin samjhunga kabhi kabhi mil jaane wali chhanw ko pyar nahin samjhunga