mujhe har ek baat ki khabar hai jo ho chuki hai jo ho rahi hai jo hone wali hai aaj lekin main sirf us baat ke bhanwar mein utar raha hun jo hone wali hai jis ko sargoshiyon ka ek be-karan samundar ugalne wala hai karwan jis ka ab hikayat ki sar-zaminon pe chalne wala hai jis ko har dastan gale se lagane wali hai jis ki han mein har ek han han milane wali hai aao logo talab ke sahil pe khamushi ki dabiz chadar lapet kar sone wale logo shayad andoh ke andhere mein khauf ki khar-dar chadar lapet kar rone wale logo suno ki jo baat hone wali hai us ka aaghaz ho raha hai suno ki ye baat aap ki hai suno ki ye baat rus aur chin ki nahin hai wahan to us ko hue zamana guzar chuka hai ye baat wietnam aur cambodia ki bhi ab nahin rahi hai wahan to ab us ki shakl ek dastan ki surat mein dhal chuki hai wahan se ye baat chal chuki hai ye baat ab tum karoge tum jin ke wahm mein bhi na tha ki ek din use tumhaare lahu lahu lab ada karenge yahi to is baat ka karishma hai moajiza hai ki ibtida us ki jab bhi hogi wahi karenge jo intiha ke haqir honge magar bahut ba-zamir honge mujhe tumhaare mujhe tumhaare haqir aur ba-zamir hone mein shak nahin hai ki main bhi tum mein se ek hun aur jaanta hun ki tum jo muddat se khamushi ki dabiz chadar lapet kar so rahe ho kya ho ki tum jo andoh ke andhere mein khauf ki khar-dar chadar lapet kar ro rahe ho kya hua suno ki jo baat hone wali thi ho rahi hai main is ka aaghaz kar chuka hun utho apne lahu lahu lab meri sada ke labon pe rakh do