wo kawita abhi hai mere zehn ki dhund mein jo hazaron dilon se nichodi hui sadgi aur honton se chhine hue qahqahon mein rachi hai magar koi kaise likhe wo kawita ki ab ungliyon se tapakne laga hai lahu aur zaban munjamid khun ke zaiqe se tadakhne lagi hai ye mumkin hai wo khun mera ho ya ho kisi ajnabi ka magar is se kya khun to khun hi hai kisi falsafi soch ki tal par dolti gardanen kah rahi hain udhar kali kali fasilon ke pichhe badi raushni hai magar jaane kyon raushni ki koi nai aayat ab tak meri aankh ki putliyon ke rasulon pe utri nahin to shayad main aaseb hun dasht-e-ehsas ka aur bhatakta hun jaise koi ruh piyasi