us ke billorin paikar par kitne dagh nazar aate the kitne nil ubhar aate the jaise koi na-shaista apne aaluda hathon se billorin saghar ko chhu le wo shayad jhallati bhi thi roti bhi chillati bhi thi nafrat se bal khati bhi thi aur inhin shoalon ke dam se chulha bhi jalta rahta tha lekin ab kitne hi din se us ke billorin paikar par koi dagh nahin aaya hai jaise mai-khane mein saghar gard-e-mah-o-sal mein lipta sab ki nazar se dur pada hai ab na kabhi wo jhallati hai ab na kabhi wo chillati hai nafrat ke bal khate shoale sab ke sab dam tod chuke hain aur chulha thanda thanda hai