tere dub jaane se kya farq padta hai maghrur suraj tere baad main hun ujale ki manzil charagh-e-gham-e-dil jo har dair-o-kaba mein har raat jalta hai, tanha akela jo tu dub jaega maghrur suraj to main jal uthunga tere baad lekin agar bujh gaya main mujhe chhu gaya koi jhonka hawa ka to tarik ho jaega ghar khuda ka