mujhe un wadiyon mein sair ki khwahish nahin baqi mujhe un baadalon se raaz ki baaten nahin karni mujhe un dhund ki chadar mein ab lipte nahin rahna mujhe us aalam-e-yakh-bastagi se kuchh nahin kahna mujhe mauhum lafzon ka shanasai nahin banna mujhe is kar-e-pur-asrar ka dai nahin banna main khwabon ke darichon mein khada rahne se qasir hun main zinda zindagi ki saaton ka ek shair hun mujhe ek lahlahate jhulte paikar ki khwahish hai mujhe in manzaron mein aise ek manzar ki khwahish hai