simatte hue sayon ke farsh par der se yunhi baitha hua hun ki guzre koi qafila jada-e-roz-o-shab se to puchhun ki darmandagi ki saza kya hai mujh ko batao magar dar raha hun ki koi musafir meri baat par muskuraya to main kis tarah ji sakunga meri zindagi ek sarkash ana he parinde ki surat anasir ke zar-kar pinjre ki zinat meri ruh bhi jadugar ki tarah is ana is parinde ke qalib mein khalwat-nashin hai kisi ko wo dushman ho ya dost main pinjre ki tiliyon tak pahunchne dun ye kis tarah ho sakega kise ye khabar hai ki main khud ko bhi apna dushman samajhne laga hun