ai andalib-e-zeb-e-chaman zinat-e-chaman hamdam qalaq-nasibon ki ulfat ke maron ki shirin teri nawa hai agarche hai pur-kharosh dilkash teri sada hai agarche hai dil-kharash sazon mein hai wo baat kahan jo ki tujh mein hai ulfat kahan hai un ko kisi se kahan hai lag he he kisi ke soz se un ko kahan hai saz be-shubah un mein lahn hai ek khas taur ka be-shubah un ki chhed se tharraati hai hawa lekin teri sada se hain zahir ye saf saf aalam-e-yas josh-e-dili sadma-e-firaq yani teri nawa hai wo tharrae jis se dil chalti hai jis ghadi ki shab-e-mah mein saba aur jab ki mast ho ho ke hilti hai shakh-e-gul is waqt tu jo karti hai fariyaad ham-safir betab aur karti hai hijran-nasib ko lekin tu jis ke waste rahti hai be-qarar hota hai is ka qurb mahinon tujhe nasib hoti hai har bahaar mein tujh ko nai bahaar un ko tu dekh dil ko hai jin ke kisi se lag mashuq ka magar nahin nazara tak nasib barson nahin hai kucha-e-dildar tak guzar fariyaad-o-nala karte hain din raat wo magar mumkin nahin ki kanon tak us ke pahunch sake