mera sar tum apne hi zanu pe rakh kar mujhe puchhti ho! ki mein kaun hun kya hun, kaise hun? sare sawalon ko mutthi mein rakh kar zara meri ek baat san lo suno! ye tumhaare badan ka khumar-ashna kaif narm o musalsal mujhe lazzaton ke umuq mein liye ja raha hai main pal pal kabhi lahza lahza kabhi dhire dhire kabhi lamha lamha kabhi ek dariya ke phailaw mein dubta ja raha hun sharabor tufan mein tund lahron ki surat nashile samay ek aahang ke sath hachkole khata hua main kisi soch ki rau mein bahta chala ja raha hun mera dil, meri jaan: donon hi mausum hain, us tamawwuj se jo meri nas nas mein paiham machalta hua khun ke zer-o-bam ki kahani sunata hua bah raha hai ki jis ke har ek lams ki lazzaton, zaiqon mein tumhaara koi khwab hai jaise mahtab hai tum to mere badan ka koi para-e-khak ho tum koi ghair ho? meri ham-zad! hum kashti-e-zist ke baadban ki tanaben hain do ek tum, ek main jin ka mohtaj hai baadban-e-nafas ye zamin, ye zaman mere hi ahd ki dastan hum se aabaad daem bisat-e-jahan apne aangan ki phulon-bhari kiyariyan