ek hayula mere ehsas mein poshida hai gahe-gahe jo ubhar aata hai shaitan ban kar mujh mein aa jati hai khunkhar darindon ki sifat war karta hun main har fard pe haiwan ban kar khairiyat ye hai ki tafhim ki quwwat ke tufail aisi haalat se main hota hun bahut kam do-chaar warna is qism ke lamhe jo ba-kasrat aate ye bhi mumkin tha ki hota main khud apna hi shikar