apne ghar se us ke ghar tak rasta sara jal-thal tha us ke ghar mein yun lagta tha khushiyan raqs-kunan hon jaise jiwan ke sab rang wahan the lekin hum jab laut ke aae sath apne hairani lae hath pakad kar baithne wala gal pe thapki dene wala lab muskan sajaane wali har pal dil ko lubhane wali yun lagta tha ek hain donon lekin andar ki tanhai ka sannata chikh raha tha