bhigi hari odhniyan odhe juhi chameli champa kaamani ras-bhari hawaon ke thapedon se kapkapati hain ghup andhere mein jugnuon ki be-awaz bunden tapakti hain byakul raat khamoshiyon ke sangit mein dub gai hai mahakti sanson ke nam jhonke dabe panw bhitar aa kar band aankhon ko halke se chum lete hain lekin wo lajati muskuraati kali idhar ka rasta bhul gai ya andhiyare ki chadar tan kar wahin kahin bahar bagh mein so gai