mujhe hargiz ye andaza nahin tha ki jab tum zina zina dil mein utroge to us ke mausamon ko ek lahze mein hadon se bhi siwa masrur aur ranjur kar doge tum aaoge to jannat aur jahannum sath laoge khushi ki aabshaaren gham ke jharne sath phutenge mere phailae daman mein achanak hi tasawwur se kahin aage ka sukh aur dukh ata hoga zara socho mata-e-jaan kisi ke sath duniya mein agar is se bura hoga to kya hoga