ab kahin koi nahin jal gae sare farishton ke badan bujh gae nil-gagan tutta chand bikharta suraj koi neki na badi ab kahin koi nahin aag ke shoale badhe aasmanon ka khuda dar ke zamin par utra chaar chhe gam chala tut gaya aadmi apni hi diwaron se patthar le kar phir guphaon ki taraf laut gaya ab kahin koi nahin