kis liye kahan se kya hua ki main yahan aa pahuncha ab mujhe kaise le jaya jaega wahan jahan mohabbat thi anurag tha aur us ka raj tha aawaz ke khuda ab tu hi bata ki afsos kis par kiya jae aur kis ko duhai di jae kis ne mujhe is tarah mar diya ki na to main apni nazar mein raha na duniya meri nazar mein uthao use wahan se jahan uthne se pahle tha hi nahin kya jaanun main ki tu hi wasundra hai bacha lo mere khuda ki main udne se pahle hi ud raha hun us taraf jahan dharti hai na aakash hai siwae dukh ke aur is ki talchhat ke ab main kis se puchhun ki mujhe kis ne mara shairi ka din to kabhi hua nahin magar ye raat kyun ho rahi hai raat ko bacha lo warna din use mar dega na-dida chandni se kaho ki wo apna chand dhundh kar lae warna main use khuda ke supurd kar dunga aur kahunga ki aainda nind kabhi paida na kiya jae ghar ghar damak rahi hai chandni kyunki us ka khuda use damkane ke liye aa gaya hai