mere shahr ke sare raste band hain logo main is shahr ka naghma-gar jo do ek mausam ghurbat ke dukh jhel ke aaya taki apne ghar ki diwaron se apni thaki hui aur tarsi hui aankhen sahlaun apne darwaze ke utarte roghan ko apne ashkon se saiqal kar lun apne chaman ke jale hue paudon aur gard-alud darakhton ki murda shakhon par bain karun har mahjur sutun ko itna tut ke chumun mere labon ke khun se un ke naqsh-o-nigar sabhi ji uthen gali ke logon ko itna dekhun itna dekhun meri aankhen barson ki tarsi hui aankhen chehron ke aangan ban jaen phir main apna saz uthaun aansuon aur muskanon se jhilmil jhilmil nazmen ghazlen git sunaun apne pyaron dard ke maron ka darman ban jaun lekin mere shahr ke sare raston par ab bad hai lohe ke kanton ki shah darwaze par kuchh pahre-dar khade hain jo mujh se aur mujh jaise dil walon ki pahchan se aari mere saz se sanginon se baat karen main un se kahta hun dekho main is shahr ka naghma-gar hun barson baad kadi rahon ki sari aziyyat jhel ke ab wapas aaya hun us mitti ki khatir jis ki khushbuen duniya bhar ki do-shizaon ke jismon ki mahkon se aur sare jahan ke sabhi gulabon se badh kar hai mujh ko shahr mein mere shahr mein jaane do lekin tane hue nezon ne mere jism ko yun barmaya mere saz ko yun rezaya mera humakta khun aur mere sisakte naghme shah-darwaze ki dahliz se riste riste shahr ke andar ja pahunche hain aur main apne jism ka malba saz ka lasha apne shahr ke shah-darwaze ki dahliz pe chhod ke phir anjaane shahron ki shahrahon par majbur-e-safar hun jin ko taj kar ghar aaya tha jin ko taj kar ghar aaya tha