shafaq ke phul thaali mein sajae sanwli aai charaghon se lawen khinchin darichon mein nami aai mein samjha us se milne ki ghadi aai hawa jarub-kash thi aasman-asar tinkon ki jise apni suhulat ke liye duniya ye tan-asan duniya ek murawwat mein hujum-e-khalq kahti hai meri aankhen tahi gul-dan ki surat munderon par gali se uthne wali gard ko titli batati hain ye manzar munjamid ho kar safar aaghaz karta hai lahu ki barq-raftari tanaben khench leti hai ye kaisi sham-e-shahzadi shafaq ke phul thaali mein sajae zina-e-shab se utar aai mein samjha us se milne ki ghadi aai salakhon se lahu phuta lahu mein raushni aai