qaid-e-umr-e-rawan ki salakhon ko thame hue jab kabhi jhankta hun main mazi ki khidki se ab yaad aati hain mujh ko wo pagdandiyan jin pe bhaga tha bachpan khule panw dhup se khulti bargadi chhanw aur mahakti chahakti hui dhul meri ungli pakad kar mujhe le ke jati thi school wo idara jahan shart thi ilm-o-fan ki tarash aisa mandir jahan ho gain sab buri aadaten pash pash dars dete hue kuchh khuda jin se hasil hua mujh ko insaniyat ka sabaq jin ke saya mein aaya mujhe zindagi ka shuur jin ke lafzon ka nur aaj bhi hai meri zulmat-e-roz-o-shab ka ujala ba-haq jin ki baaten musibat mein rah rah ke aati hain yaad mere ustad