daur-e-mazi ki sunahri duniya jis mein haq aur sadaqat ki hifazat ke liye kabhi maslub hue takhta-e-dar kabhi zahr ka jam kabhi kabhi kodon ki saza pai hai tan-e-nazuk kabhi sangsar hua kabhi kanton pe ghasita hum ko aab-e-shamshir se bhi pyas bujhai hum ne aaj mazi ka tasalsul tuta aaj hai zauq-e-shahadat ki kami balki fuqdan kaho aaj eqtidar ki khatir hum ne apna maslak bhi badal dala hai ruh-e-insan ko kuchal dala hai koi batlae hamein is ki saza kya hogi