TeDha aangan

husn ka dawa aur ye bachpan
nach na jaane tedha aangan

ye jo gulon ke chaak hain daman
kharon se kuchh ho gai an-ban

tirchhi nazren tikhi chitwan
daur-e-jawani khas hai season

us ki taraf bhi meri taraf bhi
dil bhi nikla thaali ka baingan

ishq ne wo pur-kaif banaya
main hun munora wo hain clifton

ulfat ki yun rail chalegi
husn ke dabbe ishq ka engine

main bhi fauji wo bhi fauji
main bhi attention wo bhi attention

naseh mujh ko samjhata hai
dana ho kar aql ka dushman

zulf mein dil ko phans rahi thi
khud hi ulajh kar rah gai zulfan

apne dil ka haal ajab hai
jab se ki hai un ki tuition

donon khushi se phul rahe hain
wo hain dunlop main hun michlon

garmi mein is shan se aae
hath mein pankha dosh pe achkan

mujh ko hai dhadka to yahi hai
aap na sun len dil ki dhadkan

jab se pakistan wo aae
hat gai un ke dar se chilman

husn mein wo mashhur hain aise
qawwalon mein jaise kallan

allah allah ishq ke tewar
aaha aaha husn ki chitwan

dil par shab-khun marne wale
armanon ki dekh le paltan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close