mere ehsasat ki gahraiyon mein hai nihan be-tawajjoh qabr ki manind ek andha kuan is ki tah mein koi qatra aab-e-shirin ka nahin faiz is se ruh-e-tishna ko kabhi pahuncha nahin gahe gahe gunjti hai is mein apni hi sada jis se khud mujh par hua karta hai tari khauf sa hauslon ko nim-jaan karti hai hai jis bazgasht dur-tar hota chala jata hai imkanon ka dasht