jidhar nazren uthata hun udhar chehre hi chehre hain magar in sab mein ek be-chehragi si dekhta hun main koi surat bana karti hai jis se shakl-e-insani har ek chehre ko is khubi se aari dekhta hun main laqab chehre ka zeba hai unhin ke waste yaro jo ehsasat aur jazbaat ki tafsir hote hain na mano faisla mera khud apne zehn se puchho kahin auraq-e-sada bhi kabhi taswir hote hain