jab us ne pahad ka nam liya to sab hanpne lage jab us ne ghanim ki naql-o-harakat batai to wo kanpne lage us ne kaha andhera to sab ek dusre ko tatolne lage us ne kaha dariya aabaadi mein ghus aaya hai to sab khala mein hath pair marne aur dubne lage tab wo ayyari se muskuraya aur unhen baalon se pakad kar khala mein do-chaar ghote diye aur algani par sukhne ke liye dal diya ab dekhen wo unhen kab utarta hai