zamana is ki khwahish mein azal se chur hai jaanan mohabbat nur hai jaanan mohabbat nur hai jaanan rukh-e-mahtab se raushan nigar-e-khwab se raushan nazar mein khulne wale sabza-e-shadab se raushan sitaron se kahin badh kar chamak is ke jilau mein hai jo aab-o-tab hai is mein kahan suraj ki zau mein hai ye nakhl-e-ishq par jaise wafa ka baur hai jaanan mohabbat nur hai jaanan mohabbat nur hai jaanan ye jis dil mein utar jae use mamur kar jae sarapa rang kar jae tamannaon se bhar jae ye aisa kaif hai jo har qadam par zindagi pur-nur karta hai utar kar ruh mein is ke andhere dur karta hai ye wo ehsas hai jo har ghadi bharpur hai jaanan mohabbat nur hai jaanan mohabbat nur hai jaanan