dafatan aisa laga mere sare jism par aankhen hi aankhen hain mujassam aankh hun main main ne dekha us ne thodi der khidki par thahar kar apni aankhen chamchamain aur phir jali ko bosa de ke wo aage badhi raste mein kanch ki diwar thi (aur sach ye hai ki aakhir waqt tak qaem rahi wo) phir bhi jaane kis tarah palken jhapakte hi wo andar aa gai andar aa kar us ne sine mein mere khanjar utara dekh lo ab tak ubalta hai mere sine se chandi ka lahu