hadse zindagi ki alamat hain lekin wo ek hadsa hum jise maut kahte hain kab aur kaise kahan ru-numa ho koi jaanta hai bila-raib koi nahin jaanta main khud sochta hun mujhe ek muddat se kya ho gaya hai mere phaile hue jagte zinda hathon ki sab ungliyan so chuki hain mere larzan labon par jami papdiyan barq se rakh hote hue abr par ro chuki hain ilm o irfan ki rah mein jaise meri duaen asar kho chuki hain main kya jaanta hun fana ke tasalsul mein koi girah dalne ke liye harf-e-kun ki zarurat hai jo mangne par bhi koi na dega ki ab wo zamanon se bahte hue khun ka khun-baha to nahin hai wo jis ke tasarruf mein sab kuchh hai husn-e-talab ki mujhe dad de kar agar ye kahe khub ho tum magar jaante ho ki tum kaun ho tum rah-e-raftagan ki masafat ka ek aur aaghaz ho intiha to nahin ho adam aur maujud ke darmiyan ek kadi ho khuda to nahin ho to main kya kahunga main khud sochta hun