khwab-e-adam aalam khamosh hai is tirgi ko chirti sukut ko chhedti badh rahi hai rail main khwab mein hun aur sab so rahe hain khada hun darwaze pe kab se na jaane kab se kahin dur dikhti hai kuchh raushni kuchh imaraten koi bedari ka aasar timtimata hai ek jugnu ki manind kitni tez ja rahi hai rail jo hai hi nahin chhut raha hai pichhe kyon main kyon ghabraata hun raftar se raftar-e-zindagi se pichhe chhutega sab chhut jae chand daud kar pichha karta hai aur ye hawa mere baalon ke pech-o-kham ko kham karti kholti hai ek rauzan-e-waqt ki diwar mein jis se phut phut kar mazi nikalta hai