teri chashm-e-khandan tera ye tabassum falak se take hain sabhi mah-o-anjum bahaaron ke mausam tumhein dhundte hain tumhein chahte hain tumhein pujte hain tumhein dekh kar ye hawa jhumti hai zamin nachti hai qadam chumti hai bataun main kaise ki kitni hasin ho nahin aafrin wo jo tum sa nahin ho agar chaar hi lafz kahne hon mujh ko meri jaan main bas yahi kah sakunga pari-ru pari-ru latafat latafat magar un se badh ke mohabbat mohabbat