raat ke hath mein ek kasa-e-daryuza-giri ye chamakte hue tare ye damakta hua chand bhik ke nur mein mange ke ujale mein magan yahi malbus-e-urusi hai yahi un ka kafan is andhere mein wo marte hue jismon ki karah wo azazil ke kutton ki kamin-gah wo tahzib ke zakhm khandaqen badh ke tar badh ke taron mein uljhe hue insanon ke jism aur insanon ke jismon pe wo baithe hue gidh wo tadakhte hue sar mayyaten hat-kati panw-kati lash ke dhanche ke is par se us par talak sard hawa nauha o nala o fariyaad-kunan shab ke sannate mein rone ki sada kabhi bachchon ki kabhi maon ki chand ke taron ke matam ki sada raat ke mathe pe aazurda sitaron ka hujum sirf khurshid-e-darakhshan ke nikalne tak hai raat ke pas andhere ke siwa kuchh bhi nahin raat ke pas andhere ke siwa kuchh bhi nahin