chhati bar wo dajla-o-furaat ke darmiyan minara-e-babul ke sae mein mujh par munkashif hoi wo muqaddas minar ki satwin manzil par baithi aayat-dar-ayat bikhre sitaron ki tilawat par mamur thi wo ashtar ke mabad ke shumal mein sae bantte baghat-e-muallaqa ko bar-awari ki dua dene aai thi us ka be-niyaz jism un hathon ki na-rasai ko pahchanta tha jo use chhune ki tamanna mein zer-e-qaba jal rahe the main ne do lashkaron ke darmiyan apne dada ke rajaz mein kalam kiya jis ki mutthi mein qabile ki aabru thi mere aqab mein hare jismon wali aurten aasmani daf ki lai par maut ka tarana gane lagin mera najibut-tarafain ghoda jis ka shajara meri ungliyon ki poron par raqam tha aur jise main apni aulad se bhi aziz jaanta tha main ne us ki zin mein baithne se inkar kiya aur hawa par panw rakhta hua dushman ke qalb-e-lashkar tak ja pahuncha mujhe dekh kar surmaon ki aankhen naf tak phail gain main zer-e-lab apna shajra-e-nasab dohra raha tha main ne apne panw mein bhagte khun ko mahmez di aur apni zahr mein bujhi talwar maidan-e-jang ke darmiyan gad di jis ke murassa daste par zaitun ka akhuwa phut pada main apni guzishta zindagi par kaf-e-afsos malne laga