anguThi

chhupaun kyon na dil mein khatam-e-gauhar nigar us ki
yahi le de ke mere pas hai ek yaadgar us ki

ye tanhai mein mere lab tak aakar muskuraati hai
aur apni malika ki tarah dil ko gudgudati hai

qalam ke sath mere hath mein har-waqt rahti hai
aur us ke dast-e-rangin ke fasane mujh se kahti hai

tilai ungliyon ka jab mujhe qissa sunati hai
tasawwur mein sitaron ke se paikar khinch lati hai

meri salma ko is ne shad aur nashad dekha hai
gahe masrur gahe mail-e-fariyaad dekha hai

ise ma'lum hain achchhi tarah betabiyan us ki
nahin poshida is ki aankh se be-khwabiyan us ki

shab-e-tanhai mein is ne use bedar paya hai
aur aksar dida-e-sarshaar ko khun-bar paya hai

ise ma'lum hai wo kis tarah maghmum rahti thi
kisi ke gham mein lutf-e-zist se mahrum rahti thi

mera khat padh ke wo kis naz se masrur hoti thi
phir apni bebasi par kis tarah ranjur hoti thi

ye shahid hai ki us ki sham-e-gham kyunkar guzarti thi
ye shahid hai ki wo ro ro ke kyunkar subh karti thi

wo jab dil tham leti thi hujum-e-gham se ghabra kar
to ye karti thi us ki gham-gusari us ke pas aakar

ise ma'lum hai jo dard tha us pak sine mein
basi hain us ke dil ki dhadkanen is ke nagine mein

pahunchti hain shuaen is ki jis dam chashm-e-hairan tak
tasawwur mujh ko le udta hai salma ke shabistan tak

jahan salma ke aur mere siwa hota nahin koi
anguthi khoi jati hai magar khota nahin koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close