bahaar-e-husn ka tu ghuncha-e-shadab hai salma tujhe fitrat ne apne dast-e-rangin se sanwara hai bahisht-e-rang-o-bu ka tu sarapa ek nazara hai teri surat sarasar paikar-e-mahtab hai salma tera jism ek hujum-e-resham-o-kam-khwab hai salma shabistan-e-jawani ka tu ek zinda sitara hai tu is duniya mein bahr-e-husn-e-fitrat ka kinara hai tu is sansar mein ek aasmani khwab hai salma jahan-e-quds ka tu ek firdausi fasana hai tujhe misr-e-jamal-o-naz ki ek sahira kahiye sanam-abaad iffat ki muqaddas kafira kahiye rabab-e-husn ka tu ek ilhami tarana hai paristan-e-latafat ki tu ek rangin kahani hai jawan fitrat ka tu ek gum-shuda khwab-e-jawani hai