blood moon ki raat ko meri aankhon mein bhi khun utra tha dard ki shiddat kuchh ziyaada thi soch raha tha aisa kyon hai rishta kya hai milon dur jab chand ki rangat khun ki manind surkh ho jae dharti par meri aankhon mein lali kyunkar aa jati hai dharti par mere sine mein dard ki shiddat badh jati hai chand ka dukh tanhai hoga mera dukh lekin kuchh aur hai jis se dil ghabra jata hai mera dukh tanhai nahin hai is dharti par gar main chahun ek be-kar shaghl ko le kar jine ka be-kar bahana dhund hi lunga gar main chahun duniya ke is shor mein khud ko logon ki is bhid mein khud ko kho sakta hun lekin aisa karne se is dard ki shiddat kam hogi kya chand ka dukh tanhai hoga mera dukh na jaane kya hai