wo lamhe jab wajud mein barud bhar jata hai soch kahti hai ki har shai fana ho sakti hai mahz zaban se phisle lafz andar ke khali-pan ko musallat kar den aisa khali-pan qubul karne mein dushwari hoti hai tumhaara shukriya daranti ki nok der tak kachchi zamin ko kuredti rahi aur us mein se khun na nikla tahon ke niche faslen ugti rahi hongi kisi ko kya khabar hoti hai be-khabari ki buniyaad par duniya aabaad hoti hai aadmi ke siwa baqi har shai apni mauzuiyat ke maruz se waqif rahti hai tumhaara shukriya hamare is qusur ke liye ki mawara ki pur-kaif faza mohabbat ke gird lipti rahti hai aur pathrili zamin ki kashish hamein dukh deti rahti hai tumhaare bina tasawwur se rishta nahin judta dukh ki ungliyan honton par nahin bajtin raston ke tedhe aur sidhe-pan mein khoe aadmi par faramosh khabren ilqa hoti hain tumhaara shukriya ret thandi rahti hai yahan tak ki andar khinch leti hai aur zarraat popcorn ki manind uchhal kud karte hain ek hath mohabbat bhara baalon ko chhuta hai ye dhanak bhara jazba dhansata hai apne bojh se khabron ki barish se mohabbat dukh aur dard ki kah dene se ye sab kah dene se raston ke sidhe aur tedhe-pan jaisa khali-pan musallat hota hai is qusur ke liye ki hum use qubul kar lete hain