apna bachpan dhund rahi thi aangan mein kyari mein phulon mein gudiyon mein khule khule aakash mein taron mein chanda mein suraj ki garmahat mein barish ki girti bundon mein titli ke rangon mein phulon ki khushbu mein lekin wo paya main ne do nanhe munne hathon mein jo apni banhen phailae apne bachpan ki taswir mein mera aks samete shirin honton par mamta ke lafz sajae mujh ko man kah kar khwabon ke in anjaan jaziron mein pahuncha deta hai jahan mujhe ek saja sajaya ghar milta hai