tum us waqt kya the tumhaare mahlon tumhaare gharon mein to sab kuchh tha aasaishen bhi wasile bhi us kibriyai ki tamkanat bhi sabhi kuchh tumhaare tasarruf mein tha zindagi ka har ek aasra bhi kade baam-o-dar bhi chaman bhi samar bhi magar tum khud us waqt kya the tumhaari nigahon mein duniya dhuen ka bhanwar thi jab udti halakat ke shahpar tumhaare saron par se guzre tumhaari nigahon mein duniya dhuen ka bhanwar thi agar is muqaddas zamin par mera khun na bahta agar dushmanon ke garandil tankon ke niche meri kadkadati hui haddiyan khandaqon mein na hotin to dozakh ke shoale tumhaare moattar gharondon ki dahliz par the tumhaare har ek besh-qimat asase ki qimat is surkh mitti se hai jis mein mera lahu rach gaya hai