ek anokhi nirali duniya mein yun samajh lo khayali duniya mein apni duniya se bhi bahut pahle lo kahani suno ki dil bahle nachte the sitare chham chham chham aur bhainsen thirakti thin baham gaen burqe mein munh chhupati thin bachhdon ko odhni udhati thin barf ke jab pahad galte the unt chester pahan ke chalte the kya zamana tha kya kahun sathi paejama pahante the hathi machhliyan sadkon par tahalti thin park ki ghans par machalti thin pahne rahta tha har quli kamkhab shahzade uthate the asbab baz ghaughaiyon se darte the aur kabutar shikar karte the billi chuhe se khauf khati thi kutte ko us ki dum hilati thi sher ka dil dhadakta tha dhak dhak sare jangal ka raja tha meindak bakriyan par laga ke udti thin dum hawa mein utha ke udti thin bail ke sing ho gae the gum nazar aata tha har gadha be-dum murghiyon ke the makhmali gadde jin pe deti thin baith kar ande shahd ki si kunin mein thi mithas dukh ko kahte the sukh to aas ko yas chidiyan rozana dudh deti thin kashtiyan manjhiyon ko kheti thin reshmi safa bandh kar ghode shan se masnadon pe baithe the bachche islah karte copy par dauda karte the race mein teacher