subh ke dhundalke mein taeron ki parwazen aa rahi hain mil-jul kar zindagi ki aawazen mere lal zulmat mein subh-e-nau ki aahat hai be-khabar ye aansu bhi ek muskurahat hai hain sahar ke honton par raushni ke afsane teri aql kya samjhe teri aankh kya jaane munh andhere chidiyon ne mast git gae kyon naddiyon ki maujon ke tar jhanjhanae kyon din ki bhid kyon aai raat kyon akeli hai kaise tujh ko batlaun zindagi paheli hai aisi ek paheli jo harf-o-lafz se pahle kahti thi ishaaron mein kis tarah se ji bahle is liye bahar-surat rup ban ke aati hai chhanw ban ke aati thi dhup ban ke aati hai hain sahar ke honton par raushni ke afsane teri aql kya samjhe teri aankh kya jaane munh andhere chidiyon ne mast git gae kyon naddiyon ki maujon ke tar jhanjhanae kyon din ki bhid kyon aai raat kyon akeli hai kaise tujh ko batlaun zindagi paheli hai aisi ek paheli jo harf-o-lafz se pahle kahti thi ishaaron mein kis tarah se ji bahle is liye bahar-surat rup ban ke aati hai chhanw ban ke aati thi dhup ban ke aati hai zindagi to palti hai maut hi ke hathon mein kholta hai aankh apni din andheri raaton mein hain sahar ke honton par raushni ke afsane teri aql kya samjhe teri aankh kya jaane