kaha master ji ne munne se ek din karo kaam pura jo hum ne kaha hai bana lao taswir is nam ki tum ki bhainsa chara-gah mein char raha hai na guzre the is baat ko do minute bhi ki munne ne taswir tayyar kar di wo taswir kya thi faqat sada-kaghaz na thi jis pe surkhi na sabzi na zardi jo puchha gaya bhai kahan hai chara-gah to farmaya bhainsa use char gaya hai jo puchha gaya phir kahan hai wo bhainsa kaha dur ja kar kahin mar gaya hai