khidkiyan khol do zabt ki khidkiyan khol do main khilun june ki dopahar mein december ki shab mein sabhi mausamon ke katahre mein apni nafi ka main isbaat ban kar khilun khwahishon nind ki jangali jhadiyon apne hi khun ki daldalon mein khilun bhaiyon ki phati aastinon mein bahnon ke sajdon mein man-bap ke be-zaban dard mein adh-jale cigareton ka tamasha banun har nai subh ke bas-stopon pe thahri hui ladkiyon ki kitabon mein maslub hone chalun main apahij dinon ki nadamat banun khidkiyan khol do chhod do raste shahr-e-be-khwab mein ghumne do mujhe subh se sham tak sham se subh tak us andhere ki ek ek karan chumne do mujhe jis mein bezar lamhon ki sazish hui aur dahalon se nahle bade ho gae jis mein be-nur kirnon ki barish hui bahr-e-shab-zad mein jo safine utare bhanwar ban gae khwab mein khwab ke phul khilne lage khidkiyan khol do jagne do mujhe